|

|
Chhattisgarh Baitulmal Foundation
Aim
|
| Foundation ke agraj wa makasid |
|
|
1. Yateem, nadar, beva, Masakin, pareshanhaal musafir, mazur, lachar ki hasbe haisiyat madad,
2. Garib ladkiya ki shaadi ke akhrajaat ka intazam kar madad karna
3. Zahin aur hoshiyaar bachcho ki taalim ki madad, fees, Scholorship ki farmani.
4. Rajaaemaan, Shifakhana, Library, Dini wa Aadhunik taalim ko ulabdh karna
5. Medical aur talimi cam ka aayojan.
6. Naghani aafat ke mawake aur imdad, bagear sudi bank aur shariya court ka kayam.
7. Ladke aur kadkiya ke liya rozgar ke mauke uplabdh karna,rozgaar guidance center wa dastkari wa training centre banana.
8. Blood bank suvidha, ambulance, aani tanker aadi suvidhaye uplabdh karna wa paani ke pyau
ghar banana.
9. Member ki rai se anya phalahi karya karna.
|
|
| Foundation ke aamdani ke jaraye |
|
1. Logon se donation atiyaat aur vastuye mein madad hasil karna.
2. Zakaat, Sadka, Khairaat, Charm Qurbani, Waqf Jaydad, Donation, Imdad aur Aatiyaat ka hasil karna.
|
|
|
1. Allah Taala ke ahkaam ki pairvi, huzoor akram salllaloalaihaivsallam ke farmaan aur shariyat ke mutabik amal daramad.
2. khulus, dyanatdari, khaufekhuda ke saath tamam kam ki zimmedari ka allahattaala ke huzuur jababdehi ka khauf ho.
3. Naam wa namood, dikhava, shohrat ka gumaan bhi na ho. Jo bhi khidmat kare khalis allah taala ke nazar ki niyyat ho.
|
|
| Millate islamiya se apeel |
|
ahle khair hajraat bataur ahtiyaat hasbehaisiyat kuch farman kare. Maslan aatiya bataur rakam, jaruriyat ki ashiya, apne kimti aukaat se kuch waqt nikalkar girakadr mashvare se mushtafid farmaaye aur kaam ki anjaamdehi mein belaus khidmat muhaiya karaye.
|
|
|
|
|